Media Presence and Recognition

Published in Siasat Urdu Daily
Wednesday, 12 July 2023      23 Zilhajjah 1444 Hijri

Digital Learning Academy recently hosted a grand event for the Aalim Course degree distribution ceremony, garnering recognition that extended beyond the event itself. The presence of distinguished individuals added prestige to the occasion as they awarded degrees to our successful candidates.

We are proud to announce that the noteworthy event organized by DLA was featured in the esteemed newspaper 'Siasat Urdu Daily' on Wednesday,12 July 2023 [23 Zilhajjah 1444 Hijri]. This recognition highlights our commitment to excellence in Islamic education and our contribution to the broader community.

At Digital Learning Academy, we understand the profound importance of Islamic education in nurturing spiritual growth, ethical values, and a strong sense of compassion and justice. Our academy is dedicated to spreading the transformative power of Islamic education online, making it accessible to all for the betterment of individuals and society. Join us on this enlightening journey where knowledge becomes a beacon for personal development and positive societal contributions.

Etemaad
Roman Urdu:

Hyderabad 10 July:(Raast) - Hazrath Allamah Maulana Sufi Alhaaj Saabir Mujtaba Ali Ahmedi Hifz Ullah (Sajjadah Nasheen Khankhahe Kamliyah Chishtiyah Quadriyah wa Jaanasheen Hazrath Maulana Peer Pasha Omer Ali Muhammadi Rahmat Ullahi Alaih baani wa naazim DLA academy ki ittela ke bamaujib 9 July 2023 baroz Itwaar baad namaaze Maghrib Khanqaahe Kamliyah Chishtiyah Quadriyah Hyderabad mein (HSWT) Hasnain Social Welfare Trust ke tahat chalne waala idaarah (DLA) Digital Learning Academy se ba zariyae Online chaar saala Aalim Course mein pehla batch kaamyaabi ke saath takmeel ko pahuncha is zaman mein ek taqreeb munaqad ki gayi jis mein Mehmaane Qusoosi ke taur par shahar Hyderabad ke Muazziz Mashaiqeen wa Ulma e kiraam ne shirkat ki. Jin mein Qaabil e Zikr Maulana Syed Wasi Ullah Hussaini, Mufti Muhammad Waajid Multani Mustafai Jaama e Nizamia, Janaab Muhammad Shuja Uddin Ifteqar hain. Maulana Muhammad Ahsan Ali Muhammadi Ahmedi aur Janaab Muhammad Hassan Ali Muhammadi Ahmedi ne mehmaanon ka isteqbaal Kiya aur unki gul poshi wa shawl poshi ki. Inke alaawa mureedeen wa motaqideen ki kaseer taadaad maujood thi. Is pur masarrat mauqe par aath faarigheen jin mein teen Tulba aur paanch Taalibaat hain, unko ba daste Maulana Sabir Mujtaba Ali Hifz Ullah wa deegar Mehmaan, Mashaiqeen e Uzzam wa Ulma e kiraam Isnaadaat wa Khil'at se nawaza gaya. August mein nae batch ka aaghaaz hone jaa raha hai jis mein khwahishmand mard wa khawateen website WWW.DLA.ACADEMY par rabt kar sakte hain. Course mukammal online rahega